na jazbon mein koi shiddat na girai na gahrai
na jazbon mein koi shiddat na girai na gahrai
Hasan Shakeel Mazhari
MORE BYHasan Shakeel Mazhari
na jazboñ meñ koī shiddat na gīrā.ī na gahrā.ī
faqat lafzoñ kī baisākhī pe hai saarī shanāsā.ī
ba-zāhir dekhne meñ yuuñ to haiñ ik jaan do qālib
haqīqat meñ haiñ donoñ hī asīr-e-ranj-e-tanhā.ī
zabān-e-mudda.ā hai jur.at-e-iz.hār se qāsir
ki in āñkhoñ meñ dekhā ham ne aksar ḳhauf-e-rusvā.ī
bhaTaktā phir rahā huuñ maiñ savād-e-dasht-e-zulmat meñ
nazar aatā nahīñ rasta basīrat hai na bīnā.ī
ruḳh-e-raushan pe parda kab talak ai husn-e-ḳhud-ārā
zarā parde se bāhar aa ki aalam hai tamāshā.ī
junūn-e-ḳhud-numā.ī ibtizāl-e-ilm-o-hikmat hai
ki har ik mubtadī kartā hai ḳhud apnī pazīrā.ī
'shakīl-e-maz.harī' aisī ġhazal kahne se kyā hāsil
taḳhayyul meñ koī nudrat na sheroñ meñ hai ra.anā.ī
na jazbon mein koi shiddat na girai na gahrai
faqat lafzon ki baisakhi pe hai sari shanasai
ba-zahir dekhne mein yun to hain ek jaan do qalib
haqiqat mein hain donon hi asir-e-ranj-e-tanhai
zaban-e-muddaa hai jurat-e-izhaar se qasir
ki in aankhon mein dekha hum ne aksar KHauf-e-ruswai
bhaTakta phir raha hun main sawad-e-dasht-e-zulmat mein
nazar aata nahin rasta basirat hai na binai
ruKH-e-raushan pe parda kab talak ai husn-e-KHud-ara
zara parde se bahar aa ki aalam hai tamashai
junun-e-KHud-numai ibtizal-e-ilm-o-hikmat hai
ki har ek mubtadi karta hai KHud apni pazirai
'shakil-e-mazhari' aisi ghazal kahne se kya hasil
taKHayyul mein koi nudrat na sheron mein hai ranai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 307)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.