na jinko aaj ke gham hain na kal ke andeshe
na jin ko aaj ke ġham haiñ na kal ke andeshe
is āb-o-gil meñ mileñge tumheñ kahāñ aise
jo sāya-dār shajar the vo sarf-e-dār hue
dikhā.ī dete nahīñ duur duur tak saa.e
bachāo dahr ko qahr-āfrīñ havāoñ se
yahī havā.eñ haiñ tūfāñ se kiil ke jhoñke
ye dil kā zaḳhm dinoñ tak na mundamil hogā
agar nikālā gayā ḳhaar dard-e-nashtar se
salīb-e-vaqt dikhā kar Darā.iye na 'shamīm'
isī salīb pe har baar ham chaḌhā.e ga.e
na jin ko aaj ke gham hain na kal ke andeshe
is aab-o-gil mein milenge tumhein kahan aise
jo saya-dar shajar the wo sarf-e-dar hue
dikhai dete nahin dur dur tak sae
bachao dahr ko qahr-afrin hawaon se
yahi hawaen hain tufan se kil ke jhonke
ye dil ka zaKHm dinon tak na mundamil hoga
agar nikala gaya KHar dard-e-nashtar se
salib-e-waqt dikha kar Daraiye na 'shamim'
isi salib pe har bar hum chaDhae gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.