na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota
na jis meñ aarzū hotī na jis meñ mudda.ā hotā
mujhe bhī ek dil yā-rab koī aisā diyā hotā
shab-e-va.ada vo aatā bhī to kyā is ke sivā hotā
jo maiñ sarf-e-vafā hotā to vo garm-e-jafā hotā
shab-e-furqat agar naala mire dil kā rasā hotā
falak kyā chiiz hai arsh-e-mua.allā hil gayā hotā
dikhā detā agar maiñ dāġh-hā-e-dil kabhī un ko
mirā zimma jo phir mashq-e-sitam kā hausla hotā
diyā thā dil to detā ishq bhī apnā use yā-rab
milā thā sar to saudā bhī tirā hī yā ḳhudā hotā
ḳhatā kyā yaar kī is meñ jo qabl-az-vaqt maut aa.ī
vafā kartī jo merī umr to va.ada vafā hotā
na aatā thā unheñ kyā mujh ko miTTī meñ milā denā
magar Dar thā ki hotā ḳhaak bhī to kīmiyā hotā
adū ke dastaḳhat se ḳhat mujhe bhejā hai kāfir ne
muqaddar kā jo likkhā thā na kyūñkar vo adā hotā
tirī kotāh-bīnī ne tujhe khoyā hai ai vaa.iz
ḳhudā ko jaan jaatā gar butoñ se āshnā hotā
sar-o-tan kā chalā aatā hai jhagḌā ek muddat se
madad kartī tirī talvār to kuchh faisla hotā
tire sadqe nigāh-e-nāz kyoñ aġhmāz kartī hai
hamārī baat ban jaatī tirā nuqsān kyā hotā
kahīñ pur-lutf hai ye qissa-e-farhād-o-majnūñ se
hamāre dil kā dukhḌā bhī kabhī sāhib sunā hotā
na aa.e tum na aate bhejte tasvīr hī apnī
mire dil ko bahalne kā koī to mashġhalā hotā
ġham-e-jānāñ na detā saath merā tū bhī furqat meñ
usī kī tarah zālim kaash tū bhī bevafā hotā
mire dil se vo rah rah kar kisī kā naaz se kahnā
ajab ik chiiz tū hotā agar be-mudda.ā hotā
sunātā qissa-e-ġham tujh meñ ġham-ḳhvārī agar hotī
dikhātā dard-e-dil tujh ko jo tū dard-āshnā hotā
dil-e-vahshī na kahtā thā ki baaz aa ishq-e-gesū se
mirī suntā to kyoñ kāfir giraftār-e-balā hotā
janāb-e-ḳhizr deñge saath kyā sahrā-e-ulfat meñ
dil-e-āfat-talab tū hī hamārā rahnumā hotā
ye kyā saudā-e-hūrān-e-ḳhayālī tujh ko hai zāhid
kisī kāfir-adā par to fidā mard-e-ḳhudā hotā
baḌe nāz-o-ni.am se ham ne ai dil tujh ko paalā thā
ḳhudā.ī ham se phir jaatī na lekin tū judā hotā
khiñche jaate the vo ḳhanjar kī sūrat vasl meñ 'nashtar'
nikaltī ḳhaak hasrat ḳhaak puurā hausla hotā
na jis mein aarzu hoti na jis mein muddaa hota
mujhe bhi ek dil ya-rab koi aisa diya hota
shab-e-wada wo aata bhi to kya is ke siwa hota
jo main sarf-e-wafa hota to wo garm-e-jafa hota
shab-e-furqat agar nala mere dil ka rasa hota
falak kya chiz hai arsh-e-mualla hil gaya hota
dikha deta agar main dagh-ha-e-dil kabhi un ko
mera zimma jo phir mashq-e-sitam ka hausla hota
diya tha dil to deta ishq bhi apna use ya-rab
mila tha sar to sauda bhi tera hi ya KHuda hota
KHata kya yar ki is mein jo qabl-az-waqt maut aai
wafa karti jo meri umr to wada wafa hota
na aata tha unhen kya mujh ko miTTi mein mila dena
magar Dar tha ki hota KHak bhi to kimiya hota
adu ke dastaKHat se KHat mujhe bheja hai kafir ne
muqaddar ka jo likkha tha na kyunkar wo ada hota
teri kotah-bini ne tujhe khoya hai ai waiz
KHuda ko jaan jata gar buton se aashna hota
sar-o-tan ka chala aata hai jhagDa ek muddat se
madad karti teri talwar to kuchh faisla hota
tere sadqe nigah-e-naz kyon aghmaz karti hai
hamari baat ban jati tera nuqsan kya hota
kahin pur-lutf hai ye qissa-e-farhad-o-majnun se
hamare dil ka dukhDa bhi kabhi sahib suna hota
na aae tum na aate bhejte taswir hi apni
mere dil ko bahalne ka koi to mashghala hota
gham-e-jaanan na deta sath mera tu bhi furqat mein
usi ki tarah zalim kash tu bhi bewafa hota
mere dil se wo rah rah kar kisi ka naz se kahna
ajab ek chiz tu hota agar be-muddaa hota
sunata qissa-e-gham tujh mein gham-KHwari agar hoti
dikhata dard-e-dil tujh ko jo tu dard-ashna hota
dil-e-wahshi na kahta tha ki baz aa ishq-e-gesu se
meri sunta to kyon kafir giraftar-e-bala hota
janab-e-KHizr denge sath kya sahra-e-ulfat mein
dil-e-afat-talab tu hi hamara rahnuma hota
ye kya sauda-e-huran-e-KHayali tujh ko hai zahid
kisi kafir-ada par to fida mard-e-KHuda hota
baDe naz-o-niam se hum ne ai dil tujh ko pala tha
KHudai hum se phir jati na lekin tu juda hota
khinche jate the wo KHanjar ki surat wasl mein 'nashtar'
nikalti KHak hasrat KHak pura hausla hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.