na jis mein hadse gham ke hon zindagi ke liye
na jis meñ hādse ġham ke hoñ zindagī ke liye
vo zindagī to musībat hai aadmī ke liye
o be-niyāz mire kuchh ḳhabar bhī hai tujh ko
miTā rahā huuñ maiñ ḳhud ko tirī ḳhushī ke liye
havas-parast nahīñ banda-e-ḳhulūs huuñ maiñ
jo merā apnā ho maiñ bhī huuñ bas usī ke liye
ḳhudā kī den hai vo jis ko daulat-e-ġham de
ki faiz-e-ishq nahīñ hai ye har kisī ke liye
bas ik nigāh-e-tamannā-navāz ho jaa.e
taras gayā huuñ mohabbat kī zindagī ke liye
zahe nasīb ki aa.ī to un ke hoñToñ par
tamām umr maiñ royā thā jis hañsī ke liye
ye apnā apnā muqaddar hai apnā apnā nasīb
ki ġham kisī ke liye hai ḳhushī kisī ke liye
kahāñ vo lazzat-e-paiham ki ab to zālim ne
uThā rakhī haiñ jafā.eñ kabhī kabhī ke liye
rakhā na vahshat-e-dil ne kahīñ kā ai 'sāhir'
na koī mere liye hai na maiñ kisī ke liye
na jis mein hadse gham ke hon zindagi ke liye
wo zindagi to musibat hai aadmi ke liye
o be-niyaz mere kuchh KHabar bhi hai tujh ko
miTa raha hun main KHud ko teri KHushi ke liye
hawas-parast nahin banda-e-KHulus hun main
jo mera apna ho main bhi hun bas usi ke liye
KHuda ki den hai wo jis ko daulat-e-gham de
ki faiz-e-ishq nahin hai ye har kisi ke liye
bas ek nigah-e-tamanna-nawaz ho jae
taras gaya hun mohabbat ki zindagi ke liye
zahe nasib ki aai to un ke honTon par
tamam umr main roya tha jis hansi ke liye
ye apna apna muqaddar hai apna apna nasib
ki gham kisi ke liye hai KHushi kisi ke liye
kahan wo lazzat-e-paiham ki ab to zalim ne
uTha rakhi hain jafaen kabhi kabhi ke liye
rakha na wahshat-e-dil ne kahin ka ai 'sahir'
na koi mere liye hai na main kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.