na karwan ke liye hai na rahbar ke liye
na kārvāñ ke liye hai na rāhbar ke liye
mujhe hayāt milī hai faqat safar ke liye
maiñ kis se kis kī shikāyat karūñ zamāne meñ
nahīñ hai nek sifat koī darguzar ke liye
ye kis ne ghol diyā zahr in fazāoñ meñ
nahīñ hai jā-e-amāñ apne bāl-o-par ke liye
tamām shai kā fanā honā ik haqīqat hai
nahīñ kisī kā yahāñ saath 'umr-bhar ke liye
'hasan' ne 'ishq se dāman bachā liyā apnā
bahut se kaam the ik ‘umr-e-muḳhtasar ke liye
na karwan ke liye hai na rahbar ke liye
mujhe hayat mili hai faqat safar ke liye
main kis se kis ki shikayat karun zamane mein
nahin hai nek sifat koi darguzar ke liye
ye kis ne ghol diya zahr in fazaon mein
nahin hai ja-e-aman apne baal-o-par ke liye
tamam shai ka fana hona ek haqiqat hai
nahin kisi ka yahan sath 'umr-bhar ke liye
'hasan' ne 'ishq se daman bacha liya apna
bahut se kaam the ek ‘umr-e-muKHtasar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.