na kah ki arz-e-wafa ka koi sila na mila
na kah ki 'arz-e-vafā kā koī sila na milā
agar mazāq-e-vafā bhī milā to kyā na milā
kisī kī jur.at-e-rindāna kaañp kaañp uThī
jab un kī mast nigāhoñ kā aasrā na milā
maiñ ab muzāhira-e-zauq-e-naġhma kyā kartā
ki is chaman meñ mujhe koī ham-navā na milā
tire nisār tire ġham kī sozishoñ ke nisār
mire sukūn kā kyā hai milā milā na milā
ab us ke dil kī tamanna ko koī kyā jaane
jise bahāna-e-iz.hār-e-mudda'ā na milā
vo be-ḳhudī-e-mohabbat kī āḳhirī had thī
jahāñ pahuñch ke mujhe bhī mirā patā na chalā
mujhe junūn-e-mohabbat kī vādiyoñ meñ 'hazīñ'
nishān-e-sajda to kyā koī naqsh-e-pā na milā
na kah ki 'arz-e-wafa ka koi sila na mila
agar mazaq-e-wafa bhi mila to kya na mila
kisi ki jurat-e-rindana kanp kanp uThi
jab un ki mast nigahon ka aasra na mila
main ab muzahira-e-zauq-e-naghma kya karta
ki is chaman mein mujhe koi ham-nawa na mila
tere nisar tere gham ki sozishon ke nisar
mere sukun ka kya hai mila mila na mila
ab us ke dil ki tamanna ko koi kya jaane
jise bahana-e-izhaar-e-mudda'a na mila
wo be-KHudi-e-mohabbat ki aaKHiri had thi
jahan pahunch ke mujhe bhi mera pata na chala
mujhe junun-e-mohabbat ki wadiyon mein 'hazin'
nishan-e-sajda to kya koi naqsh-e-pa na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.