na kaliyan muskuraati hain na phulon par nikhaar aae
na kaliyāñ muskurātī haiñ na phūloñ par nikhār aa.e
baḌī be-kaifiyoñ ke saath ayyām-e-bahār aa.e
koī qīmat nahīñ aise vafā ke ahd-o-paimāñ kī
mujhe jis par yaqīñ aa.e na un ko e'tibār aa.e
jahāñ ke chappe chappe par gumāñ hotā thā manzil kā
mirī manzil meñ aise marhale bhī be-shumār aa.e
haqīqat us ke dil se pūchhiye jazb-e-mohabbat kī
samajh meñ jis ke mafhūm-e-nigāh-e-sharmsār aa.e
nizām-e-gulsitāñ zarf-e-tamannā se ibārat hai
tire dāman meñ phuul aa.e mire dāman meñ ḳhaar aa.e
marīz-e-ġham ke lab par naam un kā baar baar aayā
phir us ke ba.ad chārasāz aa.e ġham-gusār aa.e
'nasīr' aayā tavāf-e-kū-e-jānāñ raas kab dil ko
tamannā-e-sukūñ le kar ga.e aur be-qarār aa.e
na kaliyan muskuraati hain na phulon par nikhaar aae
baDi be-kaifiyon ke sath ayyam-e-bahaar aae
koi qimat nahin aise wafa ke ahd-o-paiman ki
mujhe jis par yaqin aae na un ko e'tibar aae
jahan ke chappe chappe par guman hota tha manzil ka
meri manzil mein aise marhale bhi be-shumar aae
haqiqat us ke dil se puchhiye jazb-e-mohabbat ki
samajh mein jis ke mafhum-e-nigah-e-sharmsar aae
nizam-e-gulsitan zarf-e-tamanna se ibarat hai
tere daman mein phul aae mere daman mein KHar aae
mariz-e-gham ke lab par nam un ka bar bar aaya
phir us ke baad chaarasaz aae gham-gusar aae
'nasir' aaya tawaf-e-ku-e-jaanan ras kab dil ko
tamanna-e-sukun le kar gae aur be-qarar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.