na kar ghurur agar tu kamal rakhta hai
na kar ġhurūr agar tū kamāl rakhtā hai
ki har uruuj yahāñ par zavāl rakhtā hai
ḳhudā hī jaane maiñ aa.ī huuñ kaise gulshan meñ
yahāñ to ḳhaar bhī husn-o-jamāl rakhtā hai
har ek zaḳhm pe mere namak chhiḌaktā hai
vo dost merā bahut hī ḳhayāl rakhtā hai
tamām rishtoñ ko toḌā nahīñ abhī us ne
ḳhafā ḳhafā hai magar bol-chāl rakhtā hai
laboñ pe us ke shikāyat nahīñ hai koī 'vilā'
magar nazar meñ hazāroñ savāl rakhtā hai
na kar ghurur agar tu kamal rakhta hai
ki har uruj yahan par zawal rakhta hai
KHuda hi jaane main aai hun kaise gulshan mein
yahan to KHar bhi husn-o-jamal rakhta hai
har ek zaKHm pe mere namak chhiDakta hai
wo dost mera bahut hi KHayal rakhta hai
tamam rishton ko toDa nahin abhi us ne
KHafa KHafa hai magar bol-chaal rakhta hai
labon pe us ke shikayat nahin hai koi 'wila'
magar nazar mein hazaron sawal rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.