na kar hargiz na kar ye guftugu achchha nahin lagta
na kar hargiz na kar ye guftugu achchha nahin lagta
Maroof Raebarelvi
MORE BYMaroof Raebarelvi
na kar hargiz na kar ye guftugū achchhā nahīñ lagtā
vafā kā zikr mere rū-ba-rū achchhā nahīñ lagtā
pilā.ī hai ġhamoñ ne vo mai-e-rangīn mat pūchho
ki ab mujh ko koī jām-o-subū achchhā nahīñ lagtā
shab-e-mahtāb kī ye chāñdnī phīkī sī lagtī hai
gul-e-ḳhush-rang tere rū-ba-rū achchhā nahīñ lagtā
ijāzat ho agar to sar maiñ apnā ḳhud qalam kar luuñ
tumhārī āstīnoñ par lahū achchhā nahīñ lagtā
ye mai-ḳhāna hai kariye ehtirām-e-mai-kashī sāhib
yahāñ aa.e jo koī be-vuzū achchhā nahīñ lagtā
na kar hargiz na kar ye guftugu achchha nahin lagta
wafa ka zikr mere ru-ba-ru achchha nahin lagta
pilai hai ghamon ne wo mai-e-rangin mat puchho
ki ab mujh ko koi jam-o-subu achchha nahin lagta
shab-e-mahtab ki ye chandni phiki si lagti hai
gul-e-KHush-rang tere ru-ba-ru achchha nahin lagta
ijazat ho agar to sar main apna KHud qalam kar lun
tumhaari aastinon par lahu achchha nahin lagta
ye mai-KHana hai kariye ehtiram-e-mai-kashi sahib
yahan aae jo koi be-wuzu achchha nahin lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.