na KHat likhe na diye un ko tar ab ke baras
na ḳhat likhe na diye un ko taar ab ke baras
guzar ga.ī yuuñ hī saarī bahār ab ke baras
na so.e raat ko jā kar khulī huī chhat par
kiye na ham ne sitāre shumār ab ke baras
guzishta saal bhī dil be-qarār thā lekin
ajiib tarah kī uljhan hai yaar ab ke baras
kisī bhī lab pe tabassum ke gul nahīñ mahke
kisī bhī aañkh se chhalkā na pyaar ab ke baras
ye rañg kyuuñ nahīñ jachte mirī nigāhoñ meñ
ye phuul kyuuñ mujhe lagte haiñ ḳhaar ab ke baras
na jaane kis tarah logoñ ke din guzarte haiñ
kisī ke ruḳh pe nahīñ hai nikhār ab ke baras
karoge kaise 'ḳhalish' apnī be-kalī kā ilaaj
sharāb meñ bhī nahīñ hai ḳhumār ab ke baras
na KHat likhe na diye un ko tar ab ke baras
guzar gai yun hi sari bahaar ab ke baras
na soe raat ko ja kar khuli hui chhat par
kiye na hum ne sitare shumar ab ke baras
guzishta sal bhi dil be-qarar tha lekin
ajib tarah ki uljhan hai yar ab ke baras
kisi bhi lab pe tabassum ke gul nahin mahke
kisi bhi aankh se chhalka na pyar ab ke baras
ye rang kyun nahin jachte meri nigahon mein
ye phul kyun mujhe lagte hain KHar ab ke baras
na jaane kis tarah logon ke din guzarte hain
kisi ke ruKH pe nahin hai nikhaar ab ke baras
karoge kaise 'KHalish' apni be-kali ka ilaj
sharab mein bhi nahin hai KHumar ab ke baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.