na khel ab khel to mere yaqin se
na khel ab khel tu mere yaqīñ se
ḳhudā ke vāste aa jā kahīñ se
ye achchhī aag ashkoñ ne bujhā.ī
dhuāñ uThne lagā ab har kahīñ se
unhīñ ko āsmāñ ne bhī Darāyā
Dare se the jo pahle hī zamīñ se
sazā.eñ jo musalsal mil rahī haiñ
ḳhatā kuchh ho ga.ī hogī hamīñ se
'ḳhayāl' ab soch mat itnā ziyāda
ye kah de haañ mohabbat hai tumhīñ se
na khel ab khel tu mere yaqin se
KHuda ke waste aa ja kahin se
ye achchhi aag ashkon ne bujhai
dhuan uThne laga ab har kahin se
unhin ko aasman ne bhi Daraya
Dare se the jo pahle hi zamin se
sazaen jo musalsal mil rahi hain
KHata kuchh ho gai hogi hamin se
'KHayal' ab soch mat itna ziyaada
ye kah de han mohabbat hai tumhin se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.