na khona aur na pana chahiye tha
na khonā aur na paanā chāhiye thā
mujhe kuchh darmiyāna chāhiye thā
mire aage the duniyā ke savālāt
tumheñ hī aage aanā chāhiye thā
mile bebāk jaise kuchh nahīñ ho
zarā sā hichkichānā chāhiye thā
ġhazal maiñ kah chukā thā jab tum aa.e
tumheñ matle.a meñ aanā chāhiye thā
samay ke saath bhar jaatā hai har zaḳhm
samay se bhaag jaanā chāhiye thā
ḳhatoñ kā kyā thā bah jaate nadī meñ
tumheñ to bas bahāna chāhiye thā
na khona aur na pana chahiye tha
mujhe kuchh darmiyana chahiye tha
mere aage the duniya ke sawalat
tumhein hi aage aana chahiye tha
mile bebak jaise kuchh nahin ho
zara sa hichkichana chahiye tha
ghazal main kah chuka tha jab tum aae
tumhein matlea mein aana chahiye tha
samay ke sath bhar jata hai har zaKHm
samay se bhag jaana chahiye tha
KHaton ka kya tha bah jate nadi mein
tumhein to bas bahana chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.