na KHud-sari mein hasin roz-o-shab guzara kar
na ḳhud-sarī meñ hasīñ roz-o-shab guzārā kar
zamīn-e-dil pe kabhī paañv bhī pasārā kar
kināre lag ga.ī mere bhī shauq kī kashtī
mire rafīq tū ab shauq se kinārā kar
kisī ke hijr meñ tasvīr ban gayā huuñ maiñ
hasīn shaam ke manzar mujhe nihārā kar
yahī hai lutf anā kā yahī hai dildārī
ki bāziyoñ ko kabhī jiit ke bhī haarā kar
nikāl koī to sūrat ki fāsle na raheñ
qarīb aa mire yā phir mujhe ishāra kar
tirī sadā.eñ kabhī rā.egāñ na jā.eñgī
vo sun rahā hai yahī soch ke pukārā kar
husūl-e-amn-o-mohabbat kī chāshnī ke liye
mizāj-e-talḳhī-e-daurāñ 'suḳhan' gavārā kar
na KHud-sari mein hasin roz-o-shab guzara kar
zamin-e-dil pe kabhi panw bhi pasara kar
kinare lag gai mere bhi shauq ki kashti
mere rafiq tu ab shauq se kinara kar
kisi ke hijr mein taswir ban gaya hun main
hasin sham ke manzar mujhe nihaara kar
yahi hai lutf ana ka yahi hai dildari
ki baziyon ko kabhi jit ke bhi haara kar
nikal koi to surat ki fasle na rahen
qarib aa mere ya phir mujhe ishaara kar
teri sadaen kabhi raegan na jaengi
wo sun raha hai yahi soch ke pukara kar
husul-e-amn-o-mohabbat ki chashni ke liye
mizaj-e-talKHi-e-dauran 'suKHan' gawara kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.