na khuli aankhon se dahshat ka nazara dekhna
na khulī āñkhoñ se dahshat kā nazārā dekhnā
jo hamārā hai use auroñ kā hotā dekhnā
rū-ba-rū us ko nazar bhar dekh bhī sakte nahīñ
haa.e kitnā dukh bharā hai ḳhud ko aisā dekhnā
kyā ajab sā rog bīnā.ī ko merī lag gayā
har kisī chehre meñ bas us kā hī chehra dekhnā
ishq meñ pathrā chukī āñkhoñ se hai mushkil bahut
chāñd ko Thahre hue paanī meñ chaltā dekhnā
haa.e kyā manzar-kashī ubhrī hai is tasvīr meñ
rotī āñkhoñ se kisī pyāse kā dariyā dekhnā
raat bhar bechainiyāñ sone nahīñ detīñ mujhe
aur din bhar raat ke hone kā rasta dekhnā
maut ham se do qadam ke fāsle par hai khaḌī
ab bahut dilchasp hogā ye tamāshā dekhnā
na khuli aankhon se dahshat ka nazara dekhna
jo hamara hai use auron ka hota dekhna
ru-ba-ru us ko nazar bhar dekh bhi sakte nahin
hae kitna dukh bhara hai KHud ko aisa dekhna
kya ajab sa rog binai ko meri lag gaya
har kisi chehre mein bas us ka hi chehra dekhna
ishq mein pathra chuki aankhon se hai mushkil bahut
chand ko Thahre hue pani mein chalta dekhna
hae kya manzar-kashi ubhri hai is taswir mein
roti aankhon se kisi pyase ka dariya dekhna
raat bhar bechainiyan sone nahin detin mujhe
aur din bhar raat ke hone ka rasta dekhna
maut hum se do qadam ke fasle par hai khaDi
ab bahut dilchasp hoga ye tamasha dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.