na KHushi mujhe hi hai wasl ki na hi hijr ka bhi malal hai
na KHushi mujhe hi hai wasl ki na hi hijr ka bhi malal hai
Vikram Mishra Angadh
MORE BYVikram Mishra Angadh
na ḳhushī mujhe hī hai vasl kī na hī hijr kā bhī malāl hai
maiñ huuñ kaun zaat hai kyā merī yahī muḳhtasar sā savāl hai
na safar hai ye jise chāhūñ maiñ ki ye ḳhatm ho binā tere hī
tū hai ham-safar to hai Thiik phir nahīñ to safar ye muhāl hai
ye dhuāñ kahāñ se hai uTh rahā kahīñ aag to hai lagī nahīñ
to kyuuñ jal rahe yahāñ sab magar yahī shartiya vo savāl hai
tū hai yuuñ chhupā terī zulf meñ ki ho maah chhup gayā abr meñ
merā aarzū tū hī hai sanam tirā alhadā sā jamāl hai
jabhī bāġhbāñ hai ye kah rahā ki hai Thiik sab yahāñ baaġh meñ
to phir amn baaġh meñ kyuuñ nahīñ bhalā kaun sā ye vabāl hai
na KHushi mujhe hi hai wasl ki na hi hijr ka bhi malal hai
main hun kaun zat hai kya meri yahi muKHtasar sa sawal hai
na safar hai ye jise chahun main ki ye KHatm ho bina tere hi
tu hai ham-safar to hai Thik phir nahin to safar ye muhaal hai
ye dhuan kahan se hai uTh raha kahin aag to hai lagi nahin
to kyun jal rahe yahan sab magar yahi shartiya wo sawal hai
tu hai yun chhupa teri zulf mein ki ho mah chhup gaya abr mein
mera aarzu tu hi hai sanam tera alhada sa jamal hai
jabhi baghban hai ye kah raha ki hai Thik sab yahan bagh mein
to phir amn bagh mein kyun nahin bhala kaun sa ye wabaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.