na KHushi se hamein na gham se gharaz
na ḳhushī se hameñ na ġham se ġharaz
hai magar ek us sanam se ġharaz
na hameñ jaam se na ḳhum se ġharaz
yaar rakhte haiñ apne dam se ġharaz
nahīñ parvā koī jiye ki mare
hai unheñ rāt-din sitam se ġharaz
jo ki shākir haiñ apnī qismat par
nahīñ kuchh un ko besh-o-kam se ġharaz
ham rasūl-e-ḳhudā kī ummat haiñ
hai hameñ shāfa-e-umam se ġharaz
aur tasadduq se us ke rakhte haiñ
apne allāh ke ham karam se ġharaz
'aish' jo us nigah ke āshiq haiñ
un ko kyā ḳhanjar-e-do-dam se ġharaz
na KHushi se hamein na gham se gharaz
hai magar ek us sanam se gharaz
na hamein jam se na KHum se gharaz
yar rakhte hain apne dam se gharaz
nahin parwa koi jiye ki mare
hai unhen raat-din sitam se gharaz
jo ki shakir hain apni qismat par
nahin kuchh un ko besh-o-kam se gharaz
hum rasul-e-KHuda ki ummat hain
hai hamein shafa-e-umam se gharaz
aur tasadduq se us ke rakhte hain
apne allah ke hum karam se gharaz
'aish' jo us nigah ke aashiq hain
un ko kya KHanjar-e-do-dam se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.