na KHun-e-dil hai na mai ka KHumar aankhon mein
na ḳhūn-e-dil hai na mai kā ḳhumār āñkhoñ meñ
basī huī hai tumhārī bahār āñkhoñ meñ
phirī haiñ putliyāñ begāna-vār āñkhoñ meñ
chhupā huā hai koī parda-dār āñkhoñ meñ
ummīd-e-jalva-e-dīdār bād-e-marg kahāñ
bharī hai yaas ne ḳhāk-e-mazār āñkhoñ meñ
diye baġhair tire baaġh meñ guloñ ne daaġh
chubho.e nargis-e-shahlā ne ḳhaar āñkhoñ meñ
ilāhī dīda-e-hairāñ khulā na rah jaa.e
Thahar na jaa.e kahīñ intizār āñkhoñ meñ
vo rone vaalā huuñ 'shola' ki bād-e-marg mirā
banā.eñ mardum-e-dīda-e-mazār āñkhoñ meñ
na KHun-e-dil hai na mai ka KHumar aankhon mein
basi hui hai tumhaari bahaar aankhon mein
phiri hain putliyan begana-war aankhon mein
chhupa hua hai koi parda-dar aankhon mein
ummid-e-jalwa-e-didar baad-e-marg kahan
bhari hai yas ne KHak-e-mazar aankhon mein
diye baghair tere bagh mein gulon ne dagh
chubhoe nargis-e-shahla ne KHar aankhon mein
ilahi dida-e-hairan khula na rah jae
Thahar na jae kahin intizar aankhon mein
wo rone wala hun 'shola' ki baad-e-marg mera
banaen mardum-e-dida-e-mazar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.