na kisi bhi gham ke badle na kisi KHushi ke badle
na kisi bhi gham ke badle na kisi KHushi ke badle
Kashif Adeeb Makanpuri
MORE BYKashif Adeeb Makanpuri
na kisī bhī ġham ke badle na kisī ḳhushī ke badle
tujhe zindagī milī hai mirī zindagī ke badle
mirī jur.atoñ kī koī nahīñ qadr karne vaalā
tujhe mil rahe haiñ tamġhe tirī buzdilī ke badle
tujhe aaj tak bhī shāyad ye ḳhabar nahīñ ki maiñ ne
hai chukā.ī kitnī qīmat tirī dostī ke badle
mirī aarzū kā hāsil tire lab kī muskurāhaT
haiñ qubūl mujh ko sab ġham tirī ik ḳhushī ke badle
mujhe fikr hai jazā kī na hī ḳhauf hai sazā kā
rahe mujh se bas tū raazī mirī bandagī ke badle
vo lagā rahe haiñ mujh par jo tarah tarah kī tohmat
liye jā rahe haiñ mujh se kisī dushmanī ke badle
tirā farz hai ye 'kāshif' tū vaqār is kā rakhe
tujhe log jānte haiñ tirī shā.irī ke badle
na kisi bhi gham ke badle na kisi KHushi ke badle
tujhe zindagi mili hai meri zindagi ke badle
meri juraton ki koi nahin qadr karne wala
tujhe mil rahe hain tamghe teri buzdili ke badle
tujhe aaj tak bhi shayad ye KHabar nahin ki main ne
hai chukai kitni qimat teri dosti ke badle
meri aarzu ka hasil tere lab ki muskurahaT
hain qubul mujh ko sab gham teri ek KHushi ke badle
mujhe fikr hai jaza ki na hi KHauf hai saza ka
rahe mujh se bas tu raazi meri bandagi ke badle
wo laga rahe hain mujh par jo tarah tarah ki tohmat
liye ja rahe hain mujh se kisi dushmani ke badle
tera farz hai ye 'kashif' tu waqar is ka rakhe
tujhe log jaante hain teri shairi ke badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.