na kisi hirs na hawas ke liye
na kisī hirs na havas ke liye
ham yahāñ aa.e ahl-e-las ke liye
mujh pe bas ik nigah ki kaafī hai
ek chingārī ḳhār-o-ḳhas ke liye
zindagānī ke ḳhasta aDDe par
ham khaḌe haiñ ajal kī bus ke liye
razm bazm-e-suḳhan ko samjho to
tanhā kaafī huuñ aaTh das ke liye
dostoñ ne tire bichhaḌne par
mirī barbādiyoñ ke chaske liye
phir bahāroñ ne rāsta rokā
ghar se nikle the ham qafas ke liye
'ishq kā khel khelte haiñ log
narm jismoñ pe dastaras ke liye
naaz kyā ai 'qamar' javānī par
ye to hotī hai kuchh baras ke liye
na kisi hirs na hawas ke liye
hum yahan aae ahl-e-las ke liye
mujh pe bas ek nigah ki kafi hai
ek chingari KHar-o-KHas ke liye
zindagani ke KHasta aDDe par
hum khaDe hain ajal ki bus ke liye
razm bazm-e-suKHan ko samjho to
tanha kafi hun aaTh das ke liye
doston ne tere bichhaDne par
meri barbaadiyon ke chaske liye
phir bahaaron ne rasta roka
ghar se nikle the hum qafas ke liye
'ishq ka khel khelte hain log
narm jismon pe dastaras ke liye
naz kya ai 'qamar' jawani par
ye to hoti hai kuchh baras ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.