na kisi mein nazar aai ye karamat mujhko
na kisī meñ nazar aa.ī ye karāmat mujh ko
varna kyoñ sauñpte duniyā kī imāmat mujh ko
ek muddat se mujhe DhūñD rahe the ahbāb
ab milā huuñ to na chhoḌeñge salāmat mujh ko
tū agar merā ḳhudā hai to mire paas bhī aa
duur aflāk se de aur sadā mat mujh ko
in azāboñ se baḌā aur kahāñ koī azaab
sahl lagtā hai bahut ḳhauf-e-qayāmat mujh ko
roz dhartī vahī dekhūñ vahī gardūñ dekhūñ
zahr lagtī hai ye aalam kī qadāmat mujh ko
jaane kyoñ baiThne detā nahīñ 'sābir' hargiz
ek be-nām sā ehsās-e-nadāmat mujh ko
na kisi mein nazar aai ye karamat mujh ko
warna kyon saunpte duniya ki imamat mujh ko
ek muddat se mujhe DhunD rahe the ahbab
ab mila hun to na chhoDenge salamat mujh ko
tu agar mera KHuda hai to mere pas bhi aa
dur aflak se de aur sada mat mujh ko
in azabon se baDa aur kahan koi azab
sahl lagta hai bahut KHauf-e-qayamat mujh ko
roz dharti wahi dekhun wahi gardun dekhun
zahr lagti hai ye aalam ki qadamat mujh ko
jaane kyon baiThne deta nahin 'sabir' hargiz
ek be-nam sa ehsas-e-nadamat mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.