na koi aks na aawaz na chehra hoga
na koī aks na āvāz na chehrā hogā
duur tak ek jhulastā huā sahrā hogā
kuchh to aatā hai nazar din meñ dhuñdalkā hī sahī
shaam Dhalte hī dhuāñ aur bhī gahrā hogā
muntazir kis liye ab tak haiñ charāġhoñ kī laveñ
vo musāfir thā kahīñ aur baserā hogā
ye ujaḌte hue jañgal ye ġhubār aur ye pyaas
log kahte haiñ kisī din yahāñ sahrā hogā
maan bhī jaao ki sar par hai kaḌī dhuup abhī
Dūbtī shaam kā har rañg sunahrā hogā
na koi aks na aawaz na chehra hoga
dur tak ek jhulasta hua sahra hoga
kuchh to aata hai nazar din mein dhundalka hi sahi
sham Dhalte hi dhuan aur bhi gahra hoga
muntazir kis liye ab tak hain charaghon ki lawen
wo musafir tha kahin aur basera hoga
ye ujaDte hue jangal ye ghubar aur ye pyas
log kahte hain kisi din yahan sahra hoga
man bhi jao ki sar par hai kaDi dhup abhi
Dubti sham ka har rang sunahra hoga
- Book : سکوت دشت (Pg. 50)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.