na koi chhat na koi saeban rakhte hain
na koī chhat na koī sā.ebān rakhte haiñ
ham apne sar pe khulā āsmān rakhte haiñ
bachā ke ham ye buzurgoñ kī shaan rakhte haiñ
nahīñ hai sham.a magar sham.a-dān rakhte haiñ
gale bhī milte haiñ hāthoñ ko bhī milāte haiñ
ġhazab kī duurī bhī ham darmiyān rakhte haiñ
ḳhudāyā terā karam hai ki kuchh na rakhte hue
ham apnī muTThī meñ saarā jahān rakhte haiñ
sharāfatoñ se ta.alluq nahīñ hai kuchh un kā
vo nīche log jo ūñchā makān rakhte haiñ
zamāna kis liye ham ko talāsh kartā hai
na koī naam na ham kuchh nishān rakhte haiñ
bahut sañbhāl ke rakhnā qadam tum un par bhī
tumheñ ḳhabar nahīñ patthar bhī jaan rakhte haiñ
amīr-e-shahr kī dāvat qubūl karte nahīñ
tire faqīr baḌī aan baan rakhte haiñ
mizāj kis ne bigāḌā hamāre bachchoñ kā
qalam ke badle ye tīr-o-kamān rakhte haiñ
ḳhudā kā shukr ki TuuTe hue haiñ par phir bhī
ham apne zehn meñ ūñchī uḌaan rakhte haiñ
'zafar' unheñ bhī kabhī tum paḌho unheñ bhī suno
ḳhamosh lab bhī ka.ī dāstān rakhte haiñ
na koi chhat na koi saeban rakhte hain
hum apne sar pe khula aasman rakhte hain
bacha ke hum ye buzurgon ki shan rakhte hain
nahin hai shama magar shama-dan rakhte hain
gale bhi milte hain hathon ko bhi milate hain
ghazab ki duri bhi hum darmiyan rakhte hain
KHudaya tera karam hai ki kuchh na rakhte hue
hum apni muTThi mein sara jahan rakhte hain
sharafaton se talluq nahin hai kuchh un ka
wo niche log jo uncha makan rakhte hain
zamana kis liye hum ko talash karta hai
na koi nam na hum kuchh nishan rakhte hain
bahut sanbhaal ke rakhna qadam tum un par bhi
tumhein KHabar nahin patthar bhi jaan rakhte hain
amir-e-shahr ki dawat qubul karte nahin
tere faqir baDi aan ban rakhte hain
mizaj kis ne bigaDa hamare bachchon ka
qalam ke badle ye tir-o-kaman rakhte hain
KHuda ka shukr ki TuTe hue hain par phir bhi
hum apne zehn mein unchi uDan rakhte hain
'zafar' unhen bhi kabhi tum paDho unhen bhi suno
KHamosh lab bhi kai dastan rakhte hain
- Book : خموش لب (Pg. 155)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.