na koi harf-e-dua arz-e-tamanna bhi nahin
na koī harf-e-duā arz-e-tamannā bhī nahīñ
ab na maulā hai merā aur maiñ banda bhī nahīñ
mere chehre se milā kartī hai us kī sūrat
us kī sūrat sā mire paas to chehra bhī nahīñ
rabbī-arnī kā ye hāsil rahā bīnā.ī ga.ī
aise dekhā ki use Thiik se dekhā bhī nahīñ
pahle fir.aun marā baad meñ muusā bhī mare
ek mar jaatā hai ik maut se martā bhī nahīñ
zāt-e-vāhid hai agar vo to maiñ fard-e-vahdat
us meñ aur mujh meñ koī farq ziyāda bhī nahīñ
ye to ik khel hai aur khel balā kā 'ālam'
lailā kā qais nahīñ qais kī lailā bhī nahīñ
na koi harf-e-dua arz-e-tamanna bhi nahin
ab na maula hai mera aur main banda bhi nahin
mere chehre se mila karti hai us ki surat
us ki surat sa mere pas to chehra bhi nahin
rabbi-arni ka ye hasil raha binai gai
aise dekha ki use Thik se dekha bhi nahin
pahle firaun mara baad mein musa bhi mare
ek mar jata hai ek maut se marta bhi nahin
zat-e-wahid hai agar wo to main fard-e-wahdat
us mein aur mujh mein koi farq ziyaada bhi nahin
ye to ek khel hai aur khel bala ka 'alam'
laila ka qais nahin qais ki laila bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.