na koi KHwab hoga aur na KHwabon ka jahan hoga
na koi KHwab hoga aur na KHwabon ka jahan hoga
Lateef Ahmad Subhani
MORE BYLateef Ahmad Subhani
na koī ḳhvāb hogā aur na ḳhvāboñ kā jahāñ hogā
koī dil meñ nahīñ hogā to dil ḳhālī makāñ hogā
bahut hī soch kar tū kashtī-e-umr-e-ravāñ ko Daal
muqābil meñ talātum-ḳhez bahr-e-be-karāñ hogā
nahīñ hai duur vo manzar jise dekhegā ye aalam
musalmāñ ik taraf aur ik taraf saarā jahāñ hogā
ye daur-e-pur-fitan hai bojh apnā ḳhud uThāo tum
tumhārā dard bāñTegā na koī mehrbāñ hogā
ra.īsoñ aur luTeroñ kā zamāna hai ġharībo tum
kabhī mat sochnā tum par zamāna mehrbāñ hogā
chaTTānoñ kī tarah maiñ azm rakhtā huuñ 'latīf' ab ke
mujhe mālūm hai har ik qadam par imtihāñ hogā
na koi KHwab hoga aur na KHwabon ka jahan hoga
koi dil mein nahin hoga to dil KHali makan hoga
bahut hi soch kar tu kashti-e-umr-e-rawan ko Dal
muqabil mein talatum-KHez bahr-e-be-karan hoga
nahin hai dur wo manzar jise dekhega ye aalam
musalman ek taraf aur ek taraf sara jahan hoga
ye daur-e-pur-fitan hai bojh apna KHud uThao tum
tumhaara dard banTega na koi mehrban hoga
raison aur luTeron ka zamana hai gharibo tum
kabhi mat sochna tum par zamana mehrban hoga
chaTTanon ki tarah main azm rakhta hun 'latif' ab ke
mujhe malum hai har ek qadam par imtihan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.