na koi marhala dushwar hoga
na koī marhala dushvār hogā
junūñ jab qāfila sālār hogā
shafaq ye rañg lā.egī sahar tak
ki ḳhūñ-ālūd har aḳhbār hogā
rahegā jo bhī muflis ahd-e-nau meñ
yaqīnan sāhab-e-kirdār hogā
ye ghar ko dekh kar maiñ sochtā huuñ
kisī din mujh pe ye ghar baar hogā
tashaddud karne vaale ye bhī socheñ
ki ik din sab se istifsār hogā
masā.ib se hī jab fursat na hogī
to kab zikr-e-lab-o-ruḳhsār hogā
na jaage log to ye soch le phir
'sharar' jalnā tirā be-kār hogā
na koi marhala dushwar hoga
junun jab qafila salar hoga
shafaq ye rang laegi sahar tak
ki KHun-alud har aKHbar hoga
rahega jo bhi muflis ahd-e-nau mein
yaqinan sahab-e-kirdar hoga
ye ghar ko dekh kar main sochta hun
kisi din mujh pe ye ghar bar hoga
tashaddud karne wale ye bhi sochen
ki ek din sab se istifsar hoga
masaib se hi jab fursat na hogi
to kab zikr-e-lab-o-ruKHsar hoga
na jage log to ye soch le phir
'sharar' jalna tera be-kar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.