Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na koi rok saka KHwab ke safiron ko

Adil Mansuri

na koi rok saka KHwab ke safiron ko

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    na koī rok sakā ḳhvāb ke safīroñ ko

    udaas kar ga.e nīñdoñ ke rāhgīroñ ko

    vo mauj ban ke uThī yaad ke samundar se

    tabāh kar ga.ī tanhā.ī ke jazīroñ ko

    laraz ke TuuT ga.iiñ haft-rañg dīvāreñ

    havā chalī to rihā.ī milī asīroñ ko

    dafīne paañv tale se guzar ga.e kitne

    maiñ dekhtā rahā haath meñ lakīroñ ko

    na koi rok saka KHwab ke safiron ko

    udas kar gae nindon ke rahgiron ko

    wo mauj ban ke uThi yaad ke samundar se

    tabah kar gai tanhai ke jaziron ko

    laraz ke TuT gain haft-rang diwaren

    hawa chali to rihai mili asiron ko

    dafine panw tale se guzar gae kitne

    main dekhta hi raha hath mein lakiron ko

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    na koi rok saka KHwab ke safiron ko Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now