na koi saya na koi makan rakhte hain
na koī saaya na koī makān rakhte haiñ
ham apne sar pe khulā āsmān rakhte haiñ
har ek baat pe ḳhāmosh rah nahīñ sakte
azīzo ham bhī to muñh meñ zabān rakhte haiñ
buzurg de ke ga.e the jise virāsat meñ
vahī mizāj vahī ān-bān rakhte haiñ
zamāna siikh le ham se fan-e-sipah-gīrī
hañsī ke tiir laboñ kī kamān rakhte haiñ
shikast paa.ī hai jis se har ek dariyā ne
laboñ pe pyaas kī aisī chaTān rakhte haiñ
bulandiyāñ haiñ ibārat unhīñ parindoñ se
jo āsmān se ūñchī uḌaan rakhte haiñ
bas itnī baat pe ḳhā.if haiñ gulsitāñ vaale
qafas-nasīb baḌā ḳhāndān rakhte haiñ
na koi saya na koi makan rakhte hain
hum apne sar pe khula aasman rakhte hain
har ek baat pe KHamosh rah nahin sakte
azizo hum bhi to munh mein zaban rakhte hain
buzurg de ke gae the jise wirasat mein
wahi mizaj wahi aan-ban rakhte hain
zamana sikh le hum se fan-e-sipah-giri
hansi ke tir labon ki kaman rakhte hain
shikast pai hai jis se har ek dariya ne
labon pe pyas ki aisi chaTan rakhte hain
bulandiyan hain ibarat unhin parindon se
jo aasman se unchi uDan rakhte hain
bas itni baat pe KHaif hain gulsitan wale
qafas-nasib baDa KHandan rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.