na koi shab badalti hai na koi din badalta hai
na koī shab badaltī hai na koī din badaltā hai
lahū zulmat meñ jab bole nayā sūraj nikaltā hai
koī dasht-e-balā ho yā koī bhī reg-e-sahrā ho
jahāñ ham eḌiyāñ ragḌeñ vahāñ chashma ubaltā hai
gumāñ kā zahr piite ho yaqīñ kā shahd bhī chakkho
isī ke zā.iqe se maut kā nashsha badaltā hai
usī ke saath chaltā hai koī ummīd kā jugnū
ki jis ke dil meñ bhī koī charāġh-e-ishq jaltā hai
ye manzar bārhā dekhā ki har ik vaqt kā jābir
lahū kī raushnī meñ aa ke apnī aañkh maltā hai
na koi shab badalti hai na koi din badalta hai
lahu zulmat mein jab bole naya suraj nikalta hai
koi dasht-e-bala ho ya koi bhi reg-e-sahra ho
jahan hum eDiyan ragDen wahan chashma ubalta hai
guman ka zahr pite ho yaqin ka shahd bhi chakkho
isi ke zaiqe se maut ka nashsha badalta hai
usi ke sath chalta hai koi ummid ka jugnu
ki jis ke dil mein bhi koi charagh-e-ishq jalta hai
ye manzar barha dekha ki har ek waqt ka jabir
lahu ki raushni mein aa ke apni aankh malta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.