na koi subh ka manzar na sham ki taswir
na koī sub.h kā manzar na shaam kī tasvīr
sukūt khīñch rahā hai kalām kī tasvīr
rakheñge naqsh mohammad kā dil meñ taaki rahe
hamāre paas hamāre imaam kī tasvīr
ye sub.h-o-shām ke manzar meñ vaqt kā kirdār
ye roz-o-shab haiñ 'ajab ehtimām kī tasvīr
piyeñge dil se shahādat kā jaam barsar-e-ḳhāk
ki hai ye maut hamāre davām kī tasvīr
jahāñ-jahāñ se vo guzrā zamāna ruk gayā thā
har ik maqām ne khīñchī ḳhirām kī tasvīr
vo aañkh jis ko mayassar ho vo nahīñ rakhtā
ye jām-e-jam kā tasavvur ye jaam kī tasvīr
zamīñ pe bijlī girā.ī ga.ī hai yuuñ 'zahrāb'
banā rahā hai ḳhudā inhidām kī tasvīr
na koi subh ka manzar na sham ki taswir
sukut khinch raha hai kalam ki taswir
rakhenge naqsh mohammad ka dil mein taki rahe
hamare pas hamare imam ki taswir
ye subh-o-sham ke manzar mein waqt ka kirdar
ye roz-o-shab hain 'ajab ehtimam ki taswir
piyenge dil se shahadat ka jam barsar-e-KHak
ki hai ye maut hamare dawam ki taswir
jahan-jahan se wo guzra zamana ruk gaya tha
har ek maqam ne khinchi KHiram ki taswir
wo aankh jis ko mayassar ho wo nahin rakhta
ye jam-e-jam ka tasawwur ye jam ki taswir
zamin pe bijli girai gai hai yun 'zahrab'
bana raha hai KHuda inhidam ki taswir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.