na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle
na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle
Sabiha Sadaf
MORE BYSabiha Sadaf
na koī uljhan na dil pareshāñ na koī dard-e-nihāñ thā pahle
hamāre hāthoñ meñ titliyāñ thiiñ ye dil bahut shādmāñ thā pahle
har ek titlī pe bār-e-ġham hai aur andalīboñ kī aañkh nam hai
jahāñ pe ab ḳhaak uḌ rahī hai yahīñ kahīñ gulsitāñ thā pahle
na buġhz dil meñ rahe na nafrat bas ek duuje se ho mohabbat
ham aao tā'mīr phir se kar leñ vahī jo hindostāñ thā pahle
vo merī chāhat kī raushnī se nikal ke zulmat meñ jī rahā thā
yaqīn mujh ko nahīñ thā lekin vo mujh se kuchh bad-gumāñ thā pahle
hamārī holī hai 'iid hai vo har ik ḳhushī kī umiid hai vo
vo paas aa.e to us se pūchheñ tū itne din se kahāñ thā pahle
tumhārī duniyā meñ ā.eñge ham tumheñ gale se lagā.eñge ham
janāb ham ko mile jo fursat darāz-e-kār-e-jahāñ se pahle
hai vahshatoñ kā ye daur kaisā kyoñ dahshateñ sar uThā rahī haiñ
kahāñ se le aa.eñ DhūñD kar ham vahī jo amn-o-amāñ thā pahle
na koi uljhan na dil pareshan na koi dard-e-nihan tha pahle
hamare hathon mein titliyan thin ye dil bahut shadman tha pahle
har ek titli pe bar-e-gham hai aur andalibon ki aankh nam hai
jahan pe ab KHak uD rahi hai yahin kahin gulsitan tha pahle
na bughz dil mein rahe na nafrat bas ek duje se ho mohabbat
hum aao ta'mir phir se kar len wahi jo hindostan tha pahle
wo meri chahat ki raushni se nikal ke zulmat mein ji raha tha
yaqin mujh ko nahin tha lekin wo mujh se kuchh bad-guman tha pahle
hamari holi hai 'id hai wo har ek KHushi ki umid hai wo
wo pas aae to us se puchhen tu itne din se kahan tha pahle
tumhaari duniya mein aaenge hum tumhein gale se lagaenge hum
janab hum ko mile jo fursat daraaz-e-kar-e-jahan se pahle
hai wahshaton ka ye daur kaisa kyon dahshaten sar uTha rahi hain
kahan se le aaen DhunD kar hum wahi jo amn-o-aman tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.