na koi wajh-e-KHushi hai na koi bais-e-gham
na koi wajh-e-KHushi hai na koi bais-e-gham
Brijes Talat Nizamii
MORE BYBrijes Talat Nizamii
na koī vaj.h-e-ḳhushī hai na koī bā.is-e-ġham
jo tum nahīñ ho to dil kā ajiib hai aalam
na mai-kade kī zarūrat rahī na saaqī kī
ab apne vāste kaafī hai dīda-e-pur-nam
mujhe na chheḌ ki maiñ aise ik maqām pe huuñ
nazar uThā.ūñ to ruk jaa.e gardish-e-ālam
tire ḳhayāl meñ us vaqt Duub jaatī huuñ
mizāj-e-vaqt ko paatī huuñ jab kabhī barham
hamāre dil ko samundar kī aarzū kyuuñ hai
agar hayāt kā hāsil hai qatra-e-shabnam
na koi wajh-e-KHushi hai na koi bais-e-gham
jo tum nahin ho to dil ka ajib hai aalam
na mai-kade ki zarurat rahi na saqi ki
ab apne waste kafi hai dida-e-pur-nam
mujhe na chheD ki main aise ek maqam pe hun
nazar uThaun to ruk jae gardish-e-alam
tere KHayal mein us waqt Dub jati hun
mizaj-e-waqt ko pati hun jab kabhi barham
hamare dil ko samundar ki aarzu kyun hai
agar hayat ka hasil hai qatra-e-shabnam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.