na koi zaKHm laga hai na koi dagh paDa hai
na koī zaḳhm lagā hai na koī daaġh paḌā hai
ye ghar bahār kī rātoñ meñ be-charāġh paḌā hai
ajab nahīñ yahī kaif-āfrīñ ho shām-e-abad tak
jo tāq-e-sīna meñ ik ḳhuun kā ayāġh paḌā hai
kabhī rulā.egī us yār-e-bevafā kī tamannā
jo zindagī hai to sad lamha-e-farāġh paḌā hai
ye ek shāḳhcha-e-ġham se itne phuul jhaḌe haiñ
kabhī qarīb se guzro to ek baaġh paḌā hai
na koi zaKHm laga hai na koi dagh paDa hai
ye ghar bahaar ki raaton mein be-charagh paDa hai
ajab nahin yahi kaif-afrin ho sham-e-abad tak
jo taq-e-sina mein ek KHun ka ayagh paDa hai
kabhi rulaegi us yar-e-bewafa ki tamanna
jo zindagi hai to sad lamha-e-faragh paDa hai
ye ek shaKHcha-e-gham se itne phul jhaDe hain
kabhi qarib se guzro to ek bagh paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.