na kufr ki na kabhi humse din ki baat karo
Interesting Fact
(May 27, 1957)
na kufr kī na kabhī ham se diiñ kī baat karo
kisī kī zulf kisī kī jabīñ kī baat karo
fuzūl kyuuñ falak-e-haftamīñ kī baat karo
jahāñ pahuñch ho tumhārī vahīñ kī baat karo
ye baar baar hai kyā zikr zāl-e-duniyā kā
kisī hasīñ kisī zohra-jabīñ kī baat karo
basī huī hai jo ḳhvāboñ meñ roz-e-avval se
agar karo to usī nāznīñ kī baat karo
shu.ūr-o-aql meñ yaḳh-bastagī kā aalam hai
nigāh-e-garm ruḳh-e-ātishīñ kī baat karo
junūñ-zadoñ ko ab asbāb-e-hosh hai la.anat
na jeb kī na kabhī āstīñ kī baat karo
hazār-rang hai jis se hayāt kā dāman
karo to husn-e-hayāt-āfrīñ kī baat karo
ye kyā ki jab bhī milo ro.e jaao qismat ko
kabhī to ḳhair se azm-o-yaqīñ kī baat karo
janāb-e-shaiḳh bas itnī sī arz hai apnī
zamīñ pe rah ke na arsh-e-barīñ kī baat karo
vatan meñ rah ke vatan kā ho tazkira pahle
phir iḳhtiyār hai chāhe kahīñ kī baat karo
azal se god meñ jis kī pale ho ai 'tālib'
zabān-e-shukr se us sar-zamīñ kī baat karo
na kufr ki na kabhi hum se din ki baat karo
kisi ki zulf kisi ki jabin ki baat karo
fuzul kyun falak-e-haftamin ki baat karo
jahan pahunch ho tumhaari wahin ki baat karo
ye bar bar hai kya zikr zal-e-duniya ka
kisi hasin kisi zohra-jabin ki baat karo
basi hui hai jo KHwabon mein roz-e-awwal se
agar karo to usi naznin ki baat karo
shuur-o-aql mein yaKH-bastagi ka aalam hai
nigah-e-garm ruKH-e-atishin ki baat karo
junun-zadon ko ab asbab-e-hosh hai lanat
na jeb ki na kabhi aastin ki baat karo
hazar-rang hai jis se hayat ka daman
karo to husn-e-hayat-afrin ki baat karo
ye kya ki jab bhi milo roe jao qismat ko
kabhi to KHair se azm-o-yaqin ki baat karo
janab-e-shaiKH bas itni si arz hai apni
zamin pe rah ke na arsh-e-barin ki baat karo
watan mein rah ke watan ka ho tazkira pahle
phir iKHtiyar hai chahe kahin ki baat karo
azal se god mein jis ki pale ho ai 'talib'
zaban-e-shukr se us sar-zamin ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.