aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka

Shah Naseer

na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    na kyuuñ ki ashk-e-musalsal ho rahnumā dil

    tarīq-e-ishq meñ jaarī hai silsila dil

    dikhā ke dast-e-hinā.ī na ḳhuuñ bahā dil

    ki aur rañg se lūñgā maiñ ḳhūñ-bahā dil

    maiñ tifl-e-ashk ko mizhgāñ pe dekh hairāñ huuñ

    ki nūr-e-dīda hai hai bālakā dil

    aa.ine pe na apne kar ai sikandar naaz

    ki ham bhī rakhte haiñ jām-e-jahāñ-numā dil

    bahisht pahuñche hai zāhid! kab us vus.at ko

    ajab ravish hai ye bāġh-e-dil-kushā dil

    bajā huuñ sar-ba-garebāñ ki us ke dāman tak

    na pahuñchā aah kabhī dast-e-nā-rasā dil

    tire ḳhadañg-e-mizha se hai yak-qalam majrūh

    na pūchh ai but-e-bad-kesh! mājrā dil

    lagā.ī kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par

    subū-ba-dosh hai saaqī jo aabla dil

    hazār bain kaheñ kyuuñ na ahl-e-bīnā.ī

    ki saaf bū-qalamoñ hai ye aa.inā dil

    bahār tujh ko dikhā.eñge ham bhī ai gul-rū

    kisī ravish se jo ġhuncha kabhī khilā dil

    zuhūr-e-jalva-e-ma.abūd hai bahar-sūrat

    rakhā hai naam bajā ḳhāna-e-ḳhudā dil

    ruvāq-e-chashm meñ mat rah ki hai makān-e-nuzūl

    tire to vāste ye qasr hai banā dil

    qarār o tāqat o sabr o ḳhirad hue sab gum

    tumhārī zulf meñ abtar hai haal kyā dil

    kaheñge ham ye sarāsar jo koī pūchhegā

    savād-e-hind meñ luuTā hai qāfila dil

    na kyūñki aah se ḳhātir nishāñ ho ab merī

    ki tiir ye nahīñ kartā kabhī ḳhatā dil

    hamāre daaġh se bhañvre ko kyā bhalā nisbat

    ki vo rafīq hai gul ye āshnā dil

    lagā na dil ko apne kisī se dekh 'nasīr'

    burā na maan ki is meñ nahīñ bhalā dil

    na kyun ki ashk-e-musalsal ho rahnuma dil ka

    tariq-e-ishq mein jari hai silsila dil ka

    dikha ke dast-e-hinai na KHun baha dil ka

    ki aur rang se lunga main KHun-baha dil ka

    main tifl-e-ashk ko mizhgan pe dekh hairan hun

    ki nur-e-dida hai ya hai baalaka dil ka

    tu aaine pe na apne kar ai sikandar naz

    ki hum bhi rakhte hain jam-e-jahan-numa dil ka

    bahisht pahunche hai zahid! kab us ki wusat ko

    ajab rawish ka hai ye bagh-e-dil-kusha dil ka

    baja hun sar-ba-gareban ki us ke daman tak

    na pahuncha aah kabhi dast-e-na-rasa dil ka

    tere KHadang-e-mizha se hai yak-qalam majruh

    na puchh ai but-e-bad-kesh! majra dil ka

    lagai kis but-e-mai-nosh ne hai tak us par

    subu-ba-dosh hai saqi jo aabla dil ka

    hazar bain kahen kyun na ahl-e-binai

    ki saf bu-qalamon hai ye aaina dil ka

    bahaar tujh ko dikhaenge hum bhi ai gul-ru

    kisi rawish se jo ghuncha kabhi khila dil ka

    zuhur-e-jalwa-e-mabud hai bahar-surat

    rakha hai nam baja KHana-e-KHuda dil ka

    ruwaq-e-chashm mein mat rah ki hai makan-e-nuzul

    tere to waste ye qasr hai bana dil ka

    qarar o taqat o sabr o KHirad hue sab gum

    tumhaari zulf mein abtar hai haal kya dil ka

    kahenge hum ye sarasar jo koi puchhega

    sawad-e-hind mein luTa hai qafila dil ka

    na kyunki aah se KHatir nishan ho ab meri

    ki tir ye nahin karta kabhi KHata dil ka

    hamare dagh se bhanwre ko kya bhala nisbat

    ki wo rafiq hai gul ka ye aashna dil ka

    laga na dil ko tu apne kisi se dekh 'nasir'

    bura na man ki is mein nahin bhala dil ka

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir(part-1) (Pg. 213)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1971
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now