na lae dekhne ki tab jalwa dekhne wale
na lae dekhne ki tab jalwa dekhne wale
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
na laa.e dekhne kī taab jalva dekhne vaale
tamāshā ban ga.e ḳhud hī tamāshā dekhne vaale
sarāpā tanz huuñ aur tanz bhī manshā-e-fitrat kā
mujhe kyā dekhtā hai jā guzar jā dekhne vaale
kahīñ terī nazar afsāna-e-mūsā na ban jaa.e
zarā hushiyār rahnā dil kī duniyā dekhne vaale
bahar-sūrat tujhī ko dekhte haiñ jis tarah dekhūñ
terī nazroñ se bach kar terā jalva dekhne vaale
abhī parde ta.ayyun ke kahāñ uTThe haiñ ai ġhāfil
abhī dekhā hī kyā hai tū ne jalva dekhne vaale
tū apne mansab-e-ālī se bhī ai kaash vāqif ho
ba-hairat jānib-e-auj-e-surayyā dekhne vaale
kamāl-e-husn kā nazzāra nā-mumkin sahī 'anvar'
magar kuchh dekh hī lete haiñ jalva dekhne vaale
na lae dekhne ki tab jalwa dekhne wale
tamasha ban gae KHud hi tamasha dekhne wale
sarapa tanz hun aur tanz bhi mansha-e-fitrat ka
mujhe kya dekhta hai ja guzar ja dekhne wale
kahin teri nazar afsana-e-musa na ban jae
zara hushiyar rahna dil ki duniya dekhne wale
bahar-surat tujhi ko dekhte hain jis tarah dekhun
teri nazron se bach kar tera jalwa dekhne wale
abhi parde tayyun ke kahan uTThe hain ai ghafil
abhi dekha hi kya hai tu ne jalwa dekhne wale
tu apne mansab-e-ali se bhi ai kash waqif ho
ba-hairat jaanib-e-auj-e-surayya dekhne wale
kamal-e-husn ka nazzara na-mumkin sahi 'anwar'
magar kuchh dekh hi lete hain jalwa dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.