na mai pi aur na paimana mila hai
na mai pī aur na paimāna milā hai
yuuñ milne ko to mai-ḳhāna milā hai
na aayā jis ke dar se koī ḳhālī
vo ḳhud hāl-e-faqīrāna milā hai
ḳhizar DhūñDe hai jis ke naqsh-e-pā ko
mujhe ik aisā dīvāna milā hai
ilāhī ḳhair ho ab mai-kada kī
bahaktā pīr-e-mai-ḳhāna milā hai
ye kyā dil kī sadāoñ kā asar hai
ki vo be-iḳhtiyārāna milā hai
salāmat iltifāt-e-chashm-e-sāqī
ki kartā raqs mai-ḳhāna milā hai
jhijaktī aur jhukī nazroñ se 'rāġhib'
salām un kā hijābāna milā hai
na mai pi aur na paimana mila hai
yun milne ko to mai-KHana mila hai
na aaya jis ke dar se koi KHali
wo KHud haal-e-faqirana mila hai
KHizar DhunDe hai jis ke naqsh-e-pa ko
mujhe ek aisa diwana mila hai
ilahi KHair ho ab mai-kada ki
bahakta pir-e-mai-KHana mila hai
ye kya dil ki sadaon ka asar hai
ki wo be-iKHtiyarana mila hai
salamat iltifat-e-chashm-e-saqi
ki karta raqs mai-KHana mila hai
jhijakti aur jhuki nazron se 'raghib'
salam un ka hijabana mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.