na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak
na maiñ hāl-e-dil se ġhāfil na huuñ ashk-bār ab tak
mirī bebasī pe bhī hai mujhe iḳhtiyār ab tak
mire bāġh-e-dil pe āḳhir ye bahār bhī sitam hai
jo gulāb ham ne bo.e vo haiñ ḳhār-dār ab tak
koī aas mujh ko roke tirī justujū se kāfir
maiñ agarche ho chukā thā kabhī sharmsār ab tak
ye nasīb hī nahīñ thā ki maiñ apnā haal jī luuñ
maiñ huuñ apnī ḳhastagī kā ḳhudī sogvār ab tak
jo bahā.e chand qatre jo sajā.e kuchh tabassum
mujhe aisī ik ḳhushī kā rahā intizār ab tak
ye ajiib dāstāñ hai mire be-niyāz dil kī
jo use samajh na paayā hai usī se pyaar ab tak
maiñ kisī ke ashk pochhūñ to vo ġham-gusār merā
ye samajh ke dard Dhoyā maiñ ne baar baar ab tak
maiñ kise kahūñ ai 'bāliġh' mirā ġham-navāz tū hai
mirī bekasī kā kis ko huā e'tibār ab tak
na main haal-e-dil se ghafil na hun ashk-bar ab tak
meri bebasi pe bhi hai mujhe iKHtiyar ab tak
mere bagh-e-dil pe aaKHir ye bahaar bhi sitam hai
jo gulab hum ne boe wo hain KHar-dar ab tak
koi aas mujh ko roke teri justuju se kafir
main agarche ho chuka tha kabhi sharmsar ab tak
ye nasib hi nahin tha ki main apna haal ji lun
main hun apni KHastagi ka KHudi sogwar ab tak
jo bahae chand qatre jo sajae kuchh tabassum
mujhe aisi ek KHushi ka raha intizar ab tak
ye ajib dastan hai mere be-niyaz dil ki
jo use samajh na paya hai usi se pyar ab tak
main kisi ke ashk pochhun to wo gham-gusar mera
ye samajh ke dard Dhoya main ne bar bar ab tak
main kise kahun ai 'baaligh' mera gham-nawaz tu hai
meri bekasi ka kis ko hua e'tibar ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.