na main KHayal mein tere na main guman mein hun
na maiñ ḳhayāl meñ tere na maiñ gumān meñ huuñ
yaqīn dil ko nahīñ hai ki is jahān meñ huuñ
ḳhudāyā rakhiyegā duniyā meñ sarfarāz mujhe
maiñ pahle 'ishq ke pahle hī imtihān meñ huuñ
vo jis ko dekh ke bachche bhī saare chhoḌ ga.e
maiñ ek TuuTā khilaunā kisī dūkān meñ huuñ
ye aur baat na chhat hai na is meñ darvāze
ḳhudā kā shukr hai apne hī maiñ makān meñ huuñ
baḌā tavīl safar thā ye zindagī kā mirī
farishtoñ sone do mujh ko ki maiñ thakān meñ huuñ
na main KHayal mein tere na main guman mein hun
yaqin dil ko nahin hai ki is jahan mein hun
KHudaya rakhiyega duniya mein sarfaraaz mujhe
main pahle 'ishq ke pahle hi imtihan mein hun
wo jis ko dekh ke bachche bhi sare chhoD gae
main ek TuTa khilauna kisi dukan mein hun
ye aur baat na chhat hai na is mein darwaze
KHuda ka shukr hai apne hi main makan mein hun
baDa tawil safar tha ye zindagi ka meri
farishton sone do mujh ko ki main thakan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.