na main us ka na wo mera hua hai
na maiñ us kā na vo merā huā hai
chalo jo bhī huā achchhā huā hai
girā duuñ apne patte kis tarah maiñ
vo merī chhāñv meñ baiThā huā hai
chalo paḌhte haiñ is patthar ko chal kar
sunā hai us pe sach likkhā huā hai
ghanā vīrān aur ḳhāmosh jañgal
mire atrāf meñ phailā huā hai
udhar us paar jaanā chāhtā huuñ
magar dariyā kā pul TuuTā huā hai
na main us ka na wo mera hua hai
chalo jo bhi hua achchha hua hai
gira dun apne patte kis tarah main
wo meri chhanw mein baiTha hua hai
chalo paDhte hain is patthar ko chal kar
suna hai us pe sach likkha hua hai
ghana viran aur KHamosh jangal
mere atraf mein phaila hua hai
udhar us par jaana chahta hun
magar dariya ka pul TuTa hua hai
- Book : Ham ne bhi mohabbat ki hai (Pg. 63)
- Author : HASAN ABBASI
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.