na main wo raha kya se kya ho gaya
na main wo raha kya se kya ho gaya
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
na maiñ vo rahā kyā se kyā ho gayā
kyā mile tum mujhe maiñ ḳhudā ho gayā
vaqt kaaTe na kaTtā thā kal tak mirā
dil hai masrūf jab se fidā ho gayā
ik tirā naam hī bas mujhe yaad hai
āj-kal ye mirā falsafa ho gayā
har kisī kī zabāñ pe hai charche mire
maano aḳhbār maiñ aaj kā ho gayā
us ke dar pe shab-o-roz jā baiThnā
kaam ham se yahī ik baḌā ho gayā
nā mile aise shā.ir zamāne hue
ek 'ġhālib' thā maiñ dūsrā ho gayā
na main wo raha kya se kya ho gaya
kya mile tum mujhe main KHuda ho gaya
waqt kaTe na kaTta tha kal tak mera
dil hai masruf jab se fida ho gaya
ek tera nam hi bas mujhe yaad hai
aaj-kal ye mera falsafa ho gaya
har kisi ki zaban pe hai charche mere
mano aKHbar main aaj ka ho gaya
us ke dar pe shab-o-roz ja baiThna
kaam hum se yahi ek baDa ho gaya
na mile aise shair zamane hue
ek 'ghaalib' tha main dusra ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.