na manzilon ka tayyun na koi jada tha
na manziloñ kā ta.ayyun na koī jaada thā
ajab the log safar kā magar irāda thā
unheñ thā zo.am-e-qayādat ki jin ke hisse meñ
na thī nigāh meñ vus.at na dil kushāda thā
vo shahsavār the ghoḌe bhaḌak ga.e un ke
maiñ aaj huuñ sar-e-manzil ki pā-piyāda thā
ġham-e-hayāt ko tum sah nahīñ sake varna
hamārā haal to tum se kahīñ ziyāda thā
masarratoñ ke nagar kī tum ek shahzādī
ġhamoñ ke des kā maiñ bhī to shāhzāda thā
bhalā fareb na khātā to aur kyā kartā
hañsī laboñ pe thī lahja bhī us kā saada thā
maiñ jis ko paikar-e-sidq-o-safā samajhtā thā
patā chalā ki vo rangīn ik labāda thā
na manzilon ka tayyun na koi jada tha
ajab the log safar ka magar irada tha
unhen tha zoam-e-qayaadat ki jin ke hisse mein
na thi nigah mein wusat na dil kushada tha
wo shahsawar the ghoDe bhaDak gae un ke
main aaj hun sar-e-manzil ki pa-piyaada tha
gham-e-hayat ko tum sah nahin sake warna
hamara haal to tum se kahin ziyaada tha
masarraton ke nagar ki tum ek shahzadi
ghamon ke des ka main bhi to shahzada tha
bhala fareb na khata to aur kya karta
hansi labon pe thi lahja bhi us ka sada tha
main jis ko paikar-e-sidq-o-safa samajhta tha
pata chala ki wo rangin ek labaada tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.