na masjid hai koi na charch hai na koi mandir hai
na masjid hai koī na charch hai na koī mandir hai
agar ghar hai kahīñ us kā to tere dil ke andar hai
zamāne kī nazar ko vo bhalā aa.e nazar kaise
na us kā rañg hai na ruup hai na koī paikar hai
parindoñ meñ chahaktā hai guloñ meñ vo mahaktā hai
hai us kī hī adākārī jo ye qudrat kā manzar hai
maiñ hindū huuñ musalmāñ tum ye haiñ insān kī bāteñ
vo hai ḳhāliq sabhī kā us ke aage sab barābar hai
hai andāza mujhe aage safar mushkil bahut hogā
magar jab ham-safar tū hai to phir kis baat kā Dar hai
na masjid hai koi na charch hai na koi mandir hai
agar ghar hai kahin us ka to tere dil ke andar hai
zamane ki nazar ko wo bhala aae nazar kaise
na us ka rang hai na rup hai na koi paikar hai
parindon mein chahakta hai gulon mein wo mahakta hai
hai us ki hi adakari jo ye qudrat ka manzar hai
main hindu hun musalman tum ye hain insan ki baaten
wo hai KHaliq sabhi ka us ke aage sab barabar hai
hai andaza mujhe aage safar mushkil bahut hoga
magar jab ham-safar tu hai to phir kis baat ka Dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.