na masjiden na shiwale talash karte hain
na masjideñ na shivāle talāsh karte haiñ
ye bhūke peT nivāle talāsh karte haiñ
hamārī sāda-dilī dekho is zamāne meñ
dukhoñ ko bāñTne vaale talāsh karte haiñ
mujhe to is pe ta.ajjub hai aql ke andhe
diye bujhā ke ujāle talāsh karte haiñ
kisī ke kaam na aa.e kabhī zamāne maiñ
aur apne chāhne vaale talāsh karte haiñ
rah-e-vafā meñ abhī do qadam chale bhī nahīñ
abhī se paañv ke chhāle talāsh karte haiñ
nigāh rakhte haiñ saaqī vo terī āñkhoñ par
sukūn-e-dil ke jo pyāle talāsh karte haiñ
na masjiden na shiwale talash karte hain
ye bhuke peT niwale talash karte hain
hamari sada-dili dekho is zamane mein
dukhon ko banTne wale talash karte hain
mujhe to is pe tajjub hai aql ke andhe
diye bujha ke ujale talash karte hain
kisi ke kaam na aae kabhi zamane main
aur apne chahne wale talash karte hain
rah-e-wafa mein abhi do qadam chale bhi nahin
abhi se panw ke chhaale talash karte hain
nigah rakhte hain saqi wo teri aankhon par
sukun-e-dil ke jo pyale talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.