na maslahat na takalluf na inkisar ka hai
na maslahat na takalluf na inkisār kā hai
savāl TūTte rishtoñ ke e'tibār kā hai
uThā le haath meñ patthar agar sune koī
ajiib haal mire zehn kī pukār kā hai
had-e-nigāh se aage bhī manzileñ haiñ bahut
mirā irāda ġham-e-zāt se farār kā hai
sabhī chale ga.e ghar chhoḌ kar to kyā hogā
bachā.e shahr ko ye kaam shahryār kā hai
zarā haTe to paḌhūñ maiñ bhī vaqt kā chehra
nazar ke sāmne parda abhī ġhubār kā hai
faroġh kaise milā nafratoñ ko jab ki yahāñ
har ek aadmī ummīd-vār pyaar kā hai
ajiib chiiz hai ye arsa-e-tamannā bhī
jise bhī dekhiye qaidī isī hisār kā hai
na maslahat na takalluf na inkisar ka hai
sawal TuTte rishton ke e'tibar ka hai
uTha le hath mein patthar agar sune koi
ajib haal mere zehn ki pukar ka hai
had-e-nigah se aage bhi manzilen hain bahut
mera irada gham-e-zat se farar ka hai
sabhi chale gae ghar chhoD kar to kya hoga
bachae shahr ko ye kaam shahryar ka hai
zara haTe to paDhun main bhi waqt ka chehra
nazar ke samne parda abhi ghubar ka hai
farogh kaise mila nafraton ko jab ki yahan
har ek aadmi ummid-war pyar ka hai
ajib chiz hai ye arsa-e-tamanna bhi
jise bhi dekhiye qaidi isi hisar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.