na matlab gulon se na gulshan se hai
na matlab guloñ se na gulshan se hai
mohabbat hameñ apne dushman se hai
chaman par nahīñ girtī ye bijliyāñ
adāvat hamāre nasheman se hai
nigāheñ laḌā kar nazar phernā
ye aadat tumhārī laḌakpan se hai
mohabbat kī majbūriyāñ dekhiye
hameñ ḳhvāhish-e-rahm dushman se hai
vo phir dekhte aa ke dard-e-jigar
vo phir pūchhte tirchhī chitvan se hai
na pūchh ham-nashīñ hāl-e-josh-e-junūñ
ḳharābī ayaañ mere dāman se hai
kahīñ dil churā.eñ na āñkheñ tirī
mujhe ḳhauf in donoñ rahzan se hai
chaman meñ jo ḳhaak aa rahī hai nazar
yahī yādgār-e-nasheman se hai
ajab rang kā jurm hai aadmī
ki yārāna shaiḳh-o-barahman se hai
na matlab gulon se na gulshan se hai
mohabbat hamein apne dushman se hai
chaman par nahin girti ye bijliyan
adawat hamare nasheman se hai
nigahen laDa kar nazar pherna
ye aadat tumhaari laDakpan se hai
mohabbat ki majburiyan dekhiye
hamein KHwahish-e-rahm dushman se hai
wo phir dekhte aa ke dard-e-jigar
wo phir puchhte tirchhi chitwan se hai
na puchh ham-nashin haal-e-josh-e-junun
KHarabi ayan mere daman se hai
kahin dil churaen na aankhen teri
mujhe KHauf in donon rahzan se hai
chaman mein jo KHak aa rahi hai nazar
yahi yaadgar-e-nasheman se hai
ajab rang ka jurm hai aadmi
ki yarana shaiKH-o-barahman se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.