na mera husn-e-zan samjha na andaz-e-suKHan dekha
na merā husn-e-zan samjhā na andāz-e-suḳhan dekhā
agar dekhā to duniyā ne darīda pairahan dekhā
kahīñ husn-e-takallum to kahīñ husn-e-badan dekhā
magar arbāb-e-haq ko is jahāñ meñ ḳhasta-tan dekhā
salīb-e-barg kā har ashk shabnam rū-e-gul par thā
ye manzar tū ne kyā ai sub.h kī pahlī kiran dekhā
badan kī khaal khiñchvā dī nidā-e-qum-bi-iznī ne
anal-haq kī sadā ko zīnat-e-dār-o-rasan dekhā
mire mahbūb kā chehra aur us par dil-nashīñ sahrā
urūs-e-yāsmīñ se yuuñ visāl-e-nastaran dekhā
sulūk-e-be-ruḳhī ne ġhairiyat ko taqviyat baḳhshī
vatan hī meñ vatan vāloñ ko ham ne be-vatan dekhā
milī daad itnī 'anvar' jaise be-māya suḳhanvar ko
ma.āl-e-inkisārī tum ne ahl-e-anjuman dekhā
na mera husn-e-zan samjha na andaz-e-suKHan dekha
agar dekha to duniya ne darida pairahan dekha
kahin husn-e-takallum to kahin husn-e-badan dekha
magar arbab-e-haq ko is jahan mein KHasta-tan dekha
salib-e-barg ka har ashk shabnam ru-e-gul par tha
ye manzar tu ne kya ai subh ki pahli kiran dekha
badan ki khaal khinchwa di nida-e-qum-bi-izni ne
anal-haq ki sada ko zinat-e-dar-o-rasan dekha
mere mahbub ka chehra aur us par dil-nashin sahra
urus-e-yasmin se yun visal-e-nastaran dekha
suluk-e-be-ruKHi ne ghairiyat ko taqwiyat baKHshi
watan hi mein watan walon ko hum ne be-watan dekha
mili dad itni 'anwar' jaise be-maya suKHanwar ko
maal-e-inkisari tum ne ahl-e-anjuman dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.