na mere dil ne na idrak nukta-ju ne kiya
na mere dil ne na idrāk nukta-jū ne kiyā
ḳhudā gavāh hai jo kuchh kiyā vo tū ne kiyā
farefta mujhe aalam ke rang-o-bū ne kiyā
baḌā sitam tire milne kī aarzū ne kiyā
lihāz-e-dāman-e-qātil mire lahū ne kiyā
ḳhayāl-e-shart-e-adab ḳhud rag-e-gulū ne kiyā
ḳhud apnī ziist kā parda thā jab alag ye huā
hijāb duur jamāl-e-ruḳh-e-nikū ne kiyā
bahār aa.ī to kyā nā-shagufta-ḳhātir ko
fasurda aur bhī is mausam-e-numū ne kiyā
harīm-e-quds meñ pahuñchā.egī shahādat ḳhud
ki merī ruuh ko tāhir mire lahū ne kiyā
tumhārī chāragarī ko salām hai merā
ki ek zaḳhm ko sau zaḳhm ik rafū ne kiyā
vo kyūñkar aa ke mile ḳhud ye haal mujh se na pūchh
barā.e-maqsad-e-dil tark aarzū ne kiyā
jo zāhidoñ ne na bātin ko dho ke saaf kiyā
to koī kaam na zāhir kī shust-o-shū ne kiyā
juz apne dil ke na paayā kisī ne us kā nishāñ
hazār aql ko āvāra justujū ne kiyā
baḌī umiid bañdhī be-basoñ ko mahshar meñ
ajab karishma tire tarz-e-guftugū ne kiyā
kahūñgā yaar se maiñ saaf saaf hashr ke din
ki mujh se hijr meñ jo kuchh huā vo tū ne kiyā
bajā rahe na mire aql-o-hosh ai 'betāb'
ġhazab kā mast mujhe pahle hī subū ne kiyā
na mere dil ne na idrak nukta-ju ne kiya
KHuda gawah hai jo kuchh kiya wo tu ne kiya
farefta mujhe aalam ke rang-o-bu ne kiya
baDa sitam tere milne ki aarzu ne kiya
lihaz-e-daman-e-qatil mere lahu ne kiya
KHayal-e-shart-e-adab KHud rag-e-gulu ne kiya
KHud apni zist ka parda tha jab alag ye hua
hijab dur jamal-e-ruKH-e-niku ne kiya
bahaar aai to kya na-shagufta-KHatir ko
fasurda aur bhi is mausam-e-numu ne kiya
harim-e-quds mein pahunchaegi shahadat KHud
ki meri ruh ko tahir mere lahu ne kiya
tumhaari chaaragari ko salam hai mera
ki ek zaKHm ko sau zaKHm ek rafu ne kiya
wo kyunkar aa ke mile KHud ye haal mujh se na puchh
barae-maqsad-e-dil tark aarzu ne kiya
jo zahidon ne na baatin ko dho ke saf kiya
to koi kaam na zahir ki shust-o-shu ne kiya
juz apne dil ke na paya kisi ne us ka nishan
hazar aql ko aawara justuju ne kiya
baDi umid bandhi be-bason ko mahshar mein
ajab karishma tere tarz-e-guftugu ne kiya
kahunga yar se main saf saf hashr ke din
ki mujh se hijr mein jo kuchh hua wo tu ne kiya
baja rahe na mere aql-o-hosh ai 'betab'
ghazab ka mast mujhe pahle hi subu ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.