na meri baat hi samjha na mera muddaa samjha
na meri baat hi samjha na mera muddaa samjha
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
na merī baat hī samjhā na merā mudda.ā samjhā
sunā qissa magar kyā jaane us zālim ne kyā samjhā
safīna paar us kā ho gayā bahr-e-mohabbat se
har ik mauj-e-talātum-ḳhez ko jo nāḳhudā samjhā
ye alhaḌ-pan hai zālim kā ki hai ye be-ruḳhī us kī
abhī tak mudda.ā merā na vo jān-e-vafā samjhā
na jannat kī tamanna hai na us ko huur kā lālach
ġhalat matlab are nādān tū ne shaiḳh kā samjhā
firāq-e-yār meñ bhī niiñd sī kuchh aa ga.ī mujh ko
shab-e-ġham ye sukūñ pā kar karam be-dard kā samjhā
tabī.at hī to hai zālim ne matlab merī bātoñ kā
bhalā chāhā bhalā samjhā burā chāhā burā samjhā
dobāra kūcha-e-mahbūb meñ jaane kī zahmat kar
payām-e-ishq bittafsīl un ko ai sabā samjhā
jise dekho vo Thukrā kar guzar jaatā hai turbat ko
na duniyā ne shahīdān-e-vafā kā martaba samjhā
haqīqat meñ ye ka.aba hai jahāñ kartā huuñ maiñ sajde
ye terī bhuul hai zāhid jo is ko but-kada samjhā
but-e-kāfir ke mahfil meñ āchānak chaḌh ga.e tevar
hamāre arz-e-maqsad ko ḳhudā jaane vo kyā samjhā
kaTātā hai galā hañs hañs ke us ke ik ishāre par
usī ko be-muravvat ne hamesha bevafā samjhā
hazāroñ qāfile luuTe haiñ jis ne rāh-e-ulfat ke
dil-e-ma.asūm ne 'ahmar' usī ko rahnumā samjhā
na meri baat hi samjha na mera muddaa samjha
suna qissa magar kya jaane us zalim ne kya samjha
safina par us ka ho gaya bahr-e-mohabbat se
har ek mauj-e-talatum-KHez ko jo naKHuda samjha
ye alhaD-pan hai zalim ka ki hai ye be-ruKHi us ki
abhi tak muddaa mera na wo jaan-e-wafa samjha
na jannat ki tamanna hai na us ko hur ka lalach
ghalat matlab are nadan tu ne shaiKH ka samjha
firaq-e-yar mein bhi nind si kuchh aa gai mujh ko
shab-e-gham ye sukun pa kar karam be-dard ka samjha
tabiat hi to hai zalim ne matlab meri baaton ka
bhala chaha bhala samjha bura chaha bura samjha
dobara kucha-e-mahbub mein jaane ki zahmat kar
payam-e-ishq bittafsil un ko ai saba samjha
jise dekho wo Thukra kar guzar jata hai turbat ko
na duniya ne shahidan-e-wafa ka martaba samjha
haqiqat mein ye kaba hai jahan karta hun main sajde
ye teri bhul hai zahid jo is ko but-kada samjha
but-e-kafir ke mahfil mein aachanak chaDh gae tewar
hamare arz-e-maqsad ko KHuda jaane wo kya samjha
kaTata hai gala hans hans ke us ke ek ishaare par
usi ko be-murawwat ne hamesha bewafa samjha
hazaron qafile luTe hain jis ne rah-e-ulfat ke
dil-e-masum ne 'ahmar' usi ko rahnuma samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.