na mil saka tari lahron mein bhi qarar mujhe
na mil sakā tarī lahroñ meñ bhī qarār mujhe
samundar apnī tahoñ meñ zarā utaar mujhe
havā ke paañv kī aahaT gulāb kī chīḳheñ
sunī haiñ maiñ ne 'adālat zarā pukār mujhe
maiñ baar baar tire vāste bikhar jā.ūñ
tū baar baar mire aa.ine sañvār mujhe
falak ko toḌ duuñ maiñ apnī aah se lekin
zamīn vāloñ se be-intihā hai pyaar mujhe
ik us kī zaat se jab merā e'tibār uThā
to phir kisī pe bhī aayā na e'tibār mujhe
na mil saka tari lahron mein bhi qarar mujhe
samundar apni tahon mein zara utar mujhe
hawa ke panw ki aahaT gulab ki chiKHen
suni hain main ne 'adalat zara pukar mujhe
main bar bar tere waste bikhar jaun
tu bar bar mere aaine sanwar mujhe
falak ko toD dun main apni aah se lekin
zamin walon se be-intiha hai pyar mujhe
ek us ki zat se jab mera e'tibar uTha
to phir kisi pe bhi aaya na e'tibar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.