na mil saki hamein manzil wafa ki rahon mein
na mil sakī hameñ manzil vafā kī rāhoñ meñ
huā nasīb na rahnā tirī panāhoñ meñ
vo jab milā to ba-zāhir thā mutma.in lekin
machal rahī thiiñ ka.ī hasrateñ nigāhoñ meñ
sukūn ghar kā mujhe raas hī nahīñ aayā
huuñ ibtidā se hī āvārgī kī bāñhoñ meñ
mire mizāj ne chhoḌā nahīñ kahīñ kā mujhe
hazār uñgliyāñ uThtī haiñ ab to rāhoñ meñ
tujhe hai fikr kahāñ āqibat kī ai 'sādī'
guzar rahī hai tirī zindagī gunāhoñ meñ
na mil saki hamein manzil wafa ki rahon mein
hua nasib na rahna teri panahon mein
wo jab mila to ba-zahir tha mutmain lekin
machal rahi thin kai hasraten nigahon mein
sukun ghar ka mujhe ras hi nahin aaya
hun ibtida se hi aawargi ki banhon mein
mere mizaj ne chhoDa nahin kahin ka mujhe
hazar ungliyan uThti hain ab to rahon mein
tujhe hai fikr kahan aaqibat ki ai 'sadi'
guzar rahi hai teri zindagi gunahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.